Narasimhaye’s Blog

Shiva Chalisa

Posted on: August 17, 2011

Shiva Chalisa

Shiva Chalisa is a “forty verse” prayer. Verses are recited or
chanted by groups. The acts and deeds of Shiva are recalled in these verses to
aid the devotee to meditate on virtuous and noble qualities.
ll Doha ll
Jai Ganesh Girija Suvan, Mangal Mool
Sujaan l l

Kahat Ayodhyadas Tum, Dehu Abhaya Vardan l
ll Chaupai ll
Jai Girijapati Deen Dayala, Sada Karat
Santan Pratipala
Bhal Chandrama Sohati Neeke, Kanan Kundal Nag Phani Ke

Ang Gaur Shiv Ganga Bahaye, Mundamal Tan Kshar Lagaye
Vastra Khaal
Baghambar Sohe, Chhavi Ko Dekh Nag Muni Mohe

Maina Matu Ki Priya Dulari,
Bam Ang Sohat Chhavi Pyari
Kar Trishul Sohat Chhavi Bhari, Karat Sada Shatrun
Shaykari

Nandi Ganesh Sohe Tanha Kaise, Sagar Madhya Kamal Hain Jaise

Kartik Shyam Aur Gana Raau, Ya Chhavi Ko Kahi Jaat Na Kaau

Devan
Jabhee Jaaye Pukara,Tabahin Dukh Prabhu Ap Nivaara
Keen Upadrava Taarak
Bhari, Devan Sab Mili Tumhee Pukari

Turat Shadanan Ap Pathayo, Luv Nimesh
Mahi Mar Girayo
Ap Jallandhar Asur Sanhara, Suyash Tumhar Vidit Sansara

Tripurasur Sang Yuddha Machayi, Sabahin Kripa Kari Leen Bachayi

Keeya Taphin Bhagirath Bhari, Purahi Pratigya Tasu Purari

Darpa
Chhod Ganga Tab Ayee, Sewak Astuti Karat Sadahee
Ved Naam Mahima Tav Gayaee,
Akath Anadi Bhed Nahin Payee

Pragati Udadhi Manthan Mein Jwala, Jare
Surasur Bhaye Vihaala
Mahadeva Tab Kari Sahayee, Neelkantha Tav Nam Dharayee

Poojan Ramchandra Jab Keenha, Lanka Jeet Vibhishan Deenha
Sahas
Kamal me ho rahe dhaari, Keenha Pareeksha Tabahi Purari

Ek Kamal Prabhu
Rakheu johee, Kamal Nayan Poojan Chahin Soyee
Kathin Bhakti Dekhi Prabhu
Shankar, Bhaye Prasanna Deya Icchhit Var

Jai Jai Jai Ananta Avinasi,
Karat Kripa Sab Ke Ghatvasi
Dushta Sakal Mohi Nitya Sataven, Bhramita Rahe
Mohe Chain Na Aave

Trahi Trahi Main Nath Pukaro, Yeh Avasar Mohi Ani
Ubaro
Lai Trishool Shatrun Ko Maro, Sankat Se Mohi Ani Ubaro

Mata
Pita Bhrata Sab Hoi, Sankat Mein Poochat Nahi Koi
Swami Ek Hai Aas Tumhari,
Aaye Harahu Mam Sankat Bhaari

Dhan Nirdhan Kon Det Sadaee, Arat Jan Ki
Peer Mitaee
Astuti Kehi Vidhi Karahu Tumhari, Shamhu Naath Ab Chook
Hamari

Shanker Ho Sankat Ke Nashan, Vighna Vinashan Mangal Kaaran

Yogi Yati Muni Dhyan Lagave, Sharad Narad Sheesh Navave

Namo Namo Jai
Namah Shivaye, Sur Brahmadik Par Na Paaye
Jo Yeh Path Kare Man Layee, Tapar
Hot Hain Shambu Sahayee

Riniya Jo Koi Ho Adhikaari, Paath Kare So
Paavanhaari
Putra Heen Ichha Kar Koi, Nishchaya Shiv Prasad Tehi Hoi

Pandit Triyodashi Ko Lave, Dhyan Poorvak Hom Karave
Triyodashi Vrata
Kare Hamesha, Tan Nahi Take Rahe Kalesha

Dhoop Deep Naivedya Chadhavai,
Shanker Sanmukha Path Karavahi
Janam Janam Ki Pap Nasave, Anta Vaas Shivpur
Men Paave

Hey Shankar Hai Aas Tumhari, Dukh Peera Ab Harahu
Hamari

ll Doha ll
Nit Nem Kar Praatha Hee ,Paath Karo
Chaalis l

Tum Meri Manokaamna, Puran Karo Jagdeesh ll

Magsar Chhati Hemant Ritu, Sanvat Chausadh Jaan l
Astuti
Chaalisa Shivhi, Puran Keen Kalyaan ll

Leave a comment


  • Narasimhaye: If you are able to talk to your or sister and your girl cousins, you will be able to speak to any girl you like. Don't be shy. Try to be confident in
  • arjun: sir please help me I cannot talk to any girl I'm not frank and I am very afraid of doing things I think what the world will think I don't have confide
  • Narasimhaye: I meant do Puja , not pika sorry.